adalat mein kabhi kya morid-e-ilzam hote hain

adalat mein kabhi kya morid-e-ilzam hote hain
wo ahl-e-shahr jin ki shah pe qatl-e-am hote hain

chaman mein khushk-sali par hai khush sayyaad ki ab khud
parinde pet ki khatir asir-e-dam hote hain

agar maqdur ho in ko kharida bhi hai ja sakta
ye jo inam hote hain ya jo ikram hote hain

jahan mein jo khalal hai hosh walon ki badaulat hai
ye be-khud rind to bas muft mein badnam hote hain

sharik-e-ghaarat-e-gulshan bana hai nazim-e-gulshan
siyasat mein 'sada' aise karishme aam hote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close