ai yar-e-sitam-kesh-o-jafa-kar khabar le marta hai tere ishq ka bimar khabar le is tir-e-jigar-doz se jaan aa gai lab par mizhgan se teri hun main dil-afgar khabar le khaliq se dua ye hai ki ya-rab kahin jaldi wo parda-nashin yar-e-tarah-dar khabar le jald aa ke zara dekh tu ai rashk-e-masiha jata hai adam ko tera bimar khabar le dushman mere sab dost hue ishq mein tere jab koi nahin munis-o-gham-khwar khabar le taqdir par apni na ho kis tarah mujhe naz hai jae tajjub ki wo dildar khabar le main hijr mein hairan-o-pareshan rahun kab tak lillah but-e-aina-rukhsar khabar le ghunghat ko sanam bahr-e-khuda rukh se utha de 'sabir' hai tera talib-e-didar khabar le