ab tere hijr mein ek pal na guzara jae

ab tere hijr mein ek pal na guzara jae
ye na ho qais tera dasht mein mara jae

un ke dil aur zaban narm hua karte hain
dasht walon ko mohabbat se pukara jae

mujh ko manzil pe nahin aur kahin jaana hai
mujh ko manzil se bahut dur utara jae

zindagi hai mere mahbub aziyyat wali
ye teri zulf nahin jis ko sanwara jae

ji to karta hai ki aankhon mein muqayyad kar lun
meri aankhon se na mahrum nazara jae

ye jo ashkon ka samundar nazar aata hai ise
aankh ki sahili patti pe utara jae

phir bhi rahti hai kami nok-palak mein baqi
wo ghazal jaisa badan jitna sanwara jae

un ke ehsan zamane pe bahut hain 'jami'
koi bhi phal na darakhton se utara jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close