agarche usne nazar meri samt sarsari ki

agarche us ne nazar meri samt sarsari ki
tu jaanta hi nahin khushi kya hai us ghadi ki

mujhe mayassar na aaj tu hai na koi digar
nahin koi intiha mere yar bebasi ki

koi bhi lau ko nisar karna na chahta tha
sabhi charaghon se kal aziyyat mein baat bhi ki

use bhi andher-nagriyon ka junun chadha hai
mujhe bhi mahfil udas karti hai raushni ki

hazar shahron se ho ke guzre hain lekin ab bhi
kami to mahsus hoti rahti hai us gali ki

main apni duniya mein mast-o-be-fikr so raha hun
khabar nahin hai mujhe kisi bhi khushi ghami ki

agar wo aaya to khud hi sahil umad padenge
ruki hui naw par ho jaegi sabhi ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close