ab tere intizar ki aadat nahin rahi pahle ki tarah goya mohabbat nahin rahi zauq-e-nazar hamara badha hai kuchh is tarah tere jamal par bhi qanaat nahin rahi furqat mein us ki roz hi hoti thi ek ghazal ab shairi zariya-e-rahat nahin rahi duniya ne tere gham se bhi begana kar diya ab dil mein tere wasl ki chahat nahin rahi kuchh hum bhi thak gae tere dar par khade khade tum mein bhi pahle jaisi sakhawat nahin rahi takte hain roz ek hi surat alam ki hum yarab tere jahan mein bhi jiddat nahin rahi