daur-e-aghaz-e-jafa dil ka sahaara nikla hausla kuchh na hamara na tumhaara nikla tera nam aate hi sakte ka tha aalam mujh par jaane kis tarah ye mazkur dobara nikla hosh jata hai jigar jata hai dal jata hai parde hi parde mein kya tera ishaara nikla hai tere kashf-o-karamat ki duniya qail tujh se ai dil na magar kaam hamara nikla kitne saffak sar-e-qatl-gah-e-alam the lakhon mein bas wahi allah ka pyara nikla ibrat-angez hai kya us ki jawan-margi bhi hae wo dil jo hamara na tumhaara nikla ishq ki lau se farishton ke bhi par jalte hain rashk-e-khurshid-e-qayamat ye sharara nikla sar-ba-sar be-sar-o-saman jise samjhe the wo dil rashk-e-jamshed-o-kai-o-khusrau-o-dara nikla rone wale hue chup hijr ki duniya badli shama be-nur hui subh ka tara nikla ungliyan utthin 'firaq'-e-watan-awara par aaj jis samt se wo dard ka mara nikla