hum use pyar ka tohfa bhi nahin de sakte masala ye hai ki dhoka bhi nahin de sakte beach majdhaar mein khud chhod di jis ne patwar ab use tum koi tinka bhi nahin de sakte dariya-dil wo ke hamein saunp di gham ki jagir khud-gharaz hum use hissa bhi nahin de sakte chand bhi dur idhar aur hawa bhi hai khilaf hum to udta hua bosa bhi nahin de sakte be-sabab bhid mein rahte hain wo bechain magar meri tanhai ko lamha bhi nahin de sakte