ab to aasan dikhai nahin deta kuchh bhi us kei jaanib se sunai nahin deta kuchh bhi is qadar aankhon pe qabiz hai wo jaana us ka is taraf aata dikhai nahin deta kuchh bhi aasmanon ka bulana na qafas ka khulna kyon parinde ko rihai nahin deta kuchh bhi farq koi nahin khalwat mein ki mahfil mein rahun dard se mujh ko judai nahin deta kuchh bhi chand jugnu ya sitare to dikhenge shab mein is ujale mein dikhai nahin deta kuchh bhi