zaban se dil ka fasana ada kiya na gaya ye tarjuman to bani thi magar bana na gaya hum un ke wada-e-farda ko le ke baithe hain ki jin se aaj ka wada wafa kiya na gaya amanatan mere sine mein wo fasana hai jo dil ki aankh se dekha gaya suna na gaya dam-e-akhir wo dene lage hayat-e-digar phir ek umr ka ehsan tha liya na gaya qusur-war hain donon nigah ho ki zaban ki jo kaha gaya ai dost wo kaha na gaya