mere KHwabon mein thi taswir kaisi

mere khwabon mein thi taswir kaisi
mili hai khwab ki tabir kaisi

mujhe to ghar bhi ab zindan lage hai
padi hai panw mein zanjir kaisi

sabhi ye lafz munh se bolte hain
hai is ki shokhi-e-tahrir kaisi

muqaddar ka likha mitta nahin hai
jo mit jae to phir taqdir kaisi

khata itni hai sachchi baat kah di
ye sachchi baat par tazir kaisi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close