dil ko gham-e-habib se bahla raha hun main har gham se be-niyaz hua ja raha hun main masumiyat to dekhiye aaghaz-e-shauq ki un ki nawazishon se bhi ghabra raha hun main har ghuncha dil-girafta hai har gul hai sina-chaak shayad bhari bahaar ko yaad aa raha hun main sar-garmi-e-talash-e-haqiqat na puchhiye manzil se be-niyaz chala ja raha hun main rangini-e-bahaar nazar mein samae kya us anjuman se uth ke chala aa raha hun main duniya mere khulus ka degi jawab kya dushman ke dard par bhi tadapta raha hun main saqi tere karam ki zarurat nahin mujhe dil mein surur-e-tishna-labi pa raha hun main wo dil jo mere haal pe roya hai barha us dil se intiqam liye ja raha hun main kate hain din qafas mein asiri ke yun 'bahaar' yaad-e-chaman mein zamzama-ara raha hun main