ab to apne jism ka saya bhi begana hua main teri mahfil mein aa kar aur bhi tanha hua waqf-e-dard-e-jaan hua mahw-e-gham-e-duniya hua dil ajab shai hai kabhi qatra kabhi dariya hua teri aahat ke taaqub mein hun sadiyon se rawan raston ke pech-o-kham mein thokaren khata hua lazzat-e-didar ki ai saat-e-rakhshan thahar padh raha hun main tere chehre pe kuchh likkha hua ab to tere husn ki har anjuman mein dhum hai jis ne mera haal dekha tera diwana hua wo samay rukhsat hue hamdam wo shamen kho gain kin khayalon ke jhamelon mein hai tu uljha hua