sidhe-sadhe log the pahle ghar bhi sada hota tha kamre kam hote the aur dalan kushada hota tha dekh ke wo ghar ganw wale sog manaya karte the sahn mein jo diwar utha kar aadha aadha hota tha mustaqbil aur haal ke aazaron ke sath nimatne ko chaupalon mein mazi ki yaadon ka iada hota tha dukh chahe jis ka bhi ho wo mill kar banta jata tha gham to aaj ke jaise the ehsas ziyaada hota tha ladke baale milon paidal padhne jaya karte the pas hai jo school wo pahle dur-uftada hota tha thak jata koi to mil kar bojh ko banta karte the dost ne dost ka basta apne upar lada hota tha itni sharm to hoti thi aankhon mein pahle waqton mein gali mein sar nicha rakhta jo bahar dada hota tha soch samajh kar hote the tab sath nibhane ke wade lekin jo kar lete the wo wada pura hota tha khat mein dil aur tir bana kar minnat karni padti thi yar bahut mushkil se milne par aamada hota tha dekh 'hasan' kis mansab se le aaya ishq faqiri tak jis se puchha apne daur mein wo shahzada hota tha