ab to daraaz ek bhi dast-e-dua nahin sab hain khuda yahan pe koi na-khuda nahin qadren badal chuki hain junun-e-wafa ki ab shart-e-wafa badal do koi bewafa nahin dekho gali mein tum ko sada de raha hai kaun aawaz dene wale sabhi to gada nahin 'iqbaal' ban ke shikwa karo to hai baat kuchh is daur mein tariqa-e-'haali' rawa nahin main zindagi ke shahr mein naghmon ki jaan tha sahra ka ab sukut hun koi sada nahin ab le chalo 'umar' kisi maikhane mein mujhe dair-o-haram mein mere maraz ki dawa nahin