tasawwur mein hamare bhi kisi ka husn palta hai taghazzul ka charagh is waste aankhon mein jalta hai hamare dil mein uthti hain hawaen dard ki jis dam hamare dil mein takhliqat ka tufan machalta hai zamana hai na jaane kab ye rukh apna badal dale hawa par ikhtiyar aakhir kahan insan ka chalta hai fasilon mein muqayyad hai hamari zindagi lekin parinde ki tarah parwaz ko ye dil machalta hai main takraata hun tufan se isi iman par 'bismil' mere har azm-e-rasikh se hawa ka rukh badalta hai