ab to jine ki koi rah nahin apne hi shahr mein panah nahin jaante sab hain mere qatil ko phir bhi mera koi gawah nahin ek wo hain ki har jafa hai rawa ek hum hain ki izn-e-ah nahin bhai bhai ka ho gaya dushman ab kisi se bhi rasm-o-rah nahin band kar do adalaton ki kitab ab koi shai yahan gunah nahin bad-nasibi ki intiha hai 'umar' raushni hai magar nigah nahin