ab to ek umr hui yaad na kar lun KHud ko

ab to ek umr hui yaad na kar lun khud ko
hun kahin zehn mein ijad na kar lun khud ko

wo kharaba ki jahan koi na ho mere siwa
us kharabe mein hi aabaad na kar lun khud ko

jaane kis lamha-e-pur-dard ki yaad aai hai
rote rote yunhi barbaad na kar lun khud ko

wahi tanhai ka aalam wahi sayyaad ka khauf
apna zindan hun to aazad na kar lun khud ko

hashr ke baad bhi rahna hai zamin par mujh ko
main jahan-zad zamin-zad na kar lun khud ko

ye jo khinche liye jata hai bayaban ki taraf
dil ko khadsha hai ki aabaad na kar lun khud ko

mil hi jaunga gae waqt mein ek din 'shaariq'
lauh-e-imkan pe izad na kar lun khud ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close