bewafa wada-shikan aur sitamgar nikla

bewafa wada-shikan aur sitamgar nikla
main ne samjha tha jise phul wo patthar nikla

wo to lagta tha hamein shahr ka pagal koi
ghaur se jab use dekha to payambar nikla

qais ham-saya tha mera ye mujhe yaad na tha
dhundte dhundte sahra mein mera ghar nikla

sar jhukaya tha use jaan ke apne se bada
wo bhi afsos mere qad ke barabar nikla

mere malik mere ehsas ko le le mujh se
mera ehsas to mere liye khanjar nikla

tishna-lab pyas se dam tod raha tha jis dam
meri aankhon se samundar ka samundar nikla

ek lamhe mein pata chal gaya apna mujh ko
jab mera saya mere jism se badh kar nikla

ho gae mujh se khafa shahr-e-badan ke aaza
mera baghi meri basti ka har ek ghar nikla

kis ko ilzam dun barbaadi-e-dil ka main 'umar'
mera dushman to mera khud hi muqaddar nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close