ab to jis roz se ruthi hai mohabbat us ki badh gai aur bhi pahle se zarurat us ki lauh-e-har-zakhm pe tahrir hai us ka mazmun naqsh hai har waraq-e-dil pe ibarat us ki jism to mera tha dil us ka tha jaan us ki thi meri jagir thi chalti thi hukumat us ki shor-e-fariyaad sunaen to sunaen kis ko hashr us ka hai khuda us ka qayamat us ki dekh kar 'azmi' us ko to bada ranj hua waqt ne kaisi badal dali hai surat us ki