zawiye bahaaron ke sab hasin hote hain jhut ke sabhi mausam be-yaqin hote hain hum bhi jaan kar un se ahd-o-paiman karte hain us ke jhute wade bhi dil-nashin hote hain jhelte hain sara dukh lab pe kuchh nahin late dard ki rifaqat ke jo amin hote hain sip mein hi rahte hain surat-e-sadaf ban kar dil mein yaad ke moti yun makin hote hain ustuwar rakhte hain zindagi se sab rishte ishq karne wale bhi kya zahin hote hain