der tak main tujhe dekhta bhi raha sath ek soch ka silsila bhi raha main to jalta raha par meri aag mein ek shola tere nam ka bhi raha shahr mein sab se chhota tha jo aadmi apni tanhaiyon mein khuda bhi raha zindagi yaad rakhna ki do chaar din main tere waste masala bhi raha rang hi rang tha shahr-e-jaan ka safar rah mein jism ka hadsa bhi raha tum se jab guftugu thi to ek ham-sukhan koi jaise tumhaare siwa bhi raha wo mera ham-nashin ham-nawa ham-nafas bhunkta bhi raha katta bhi raha