ab to mujh ko man ke dushman dost bane hain jaan ke dushman ganw mein bhi hain shahron mein bhi har su hain insan ke dushman dushman hai jo insanon ka hum hain us haiwan ke dushman mere bhi hain dushman wo log jo hain hindostan ke dushman aap ke apne hain aali-jah ghair nahin sultan ke dushman galiyon galiyon zulfen khole phirte hain iman ke dushman bojh kamal 'anwar' hain ghar par aangan aur dalan ke dushman