hamare dil ko tadpaya bahut hai sitamgar ne sitam dhaya bahut hai kabhi to aaega mausam khushi ka lahu aankhon ne barsaya bahut hai ujale jab munazzam ho gae hain andhera phir to ghabraya bahut hai kahan main jaunga mere liye to teri diwar ka saya bahut hai tu kyon rahbar ke pichhe chal rahe ho agar rahbar ne bhatkaya bahut hai qadam dariya mein jo rakhta nahin ab wo tufanon se takraya bahut hai tahi-daman 'kamal-anwar' hai lekin adab ka phir bhi sarmaya bahut hai