jahan-e-be-sabaati mein tamasha-e-jahan kab tak chamakte mehr-o-mah tare zamin-o-asman kab tak shab-e-gham mein tajalli par na itra ai dil-e-muztar sitaron ki ye chashmak aur raqs-e-kahkashan kab tak samundar ki khamoshi ek tufan sath laegi kisi na-mehrban ki ye nigah-e-mehrban kab tak badhae ja qadam tu badh ke sargarm-e-amal ho ja yunhi takta rahega su-e-gard-e-karwan kab tak laga kar aag khud hi kyon na bad-bakhti pe main ro lun jalaen aashiyan ko mere aakhir bijliyan kab tak ye behtar hai falak hona hai jo kuchh ab wo ho jae rahun teri bala-e-na-gahan ke darmiyan kab tak kamal-e-zabt par bhi ashk-e-gham aankhon se bah nikle bhala roke se ruk sakti thi ye sail-e-rawan kab tak faza-e-zist par tari hai 'akhtar' yas ka aalam na jaane matla-e-ummid hoga zarfishan kab tak