ab to muqabla hai rukh-o-zulf-e-yar mein hai fasl ka mubahisa lail-o-nahaar mein mumkin nahin hai fasl rukh-o-zulf-e-yar mein kab infisal ho sake lail-o-nahaar mein jis ko gharaz ho jae wo tauba ki chhanw mein baitha hun main to saya-e-diwar-e-yar mein jis qafile mein sath ho mahmil-nashin mera laila wahan kahan ho shumar-o-qatar mein mashhur to hain wamiq-o-farhad-o-qais-o-nal mujh sa nahin hai ek bhi in tin chaar mein us sang-dil ko hai wahi aghmaz go yahan jae phadak ke jaan nikal intizar mein qasid jo phir ke aae to phir tan mein jaan aae marta jawab-e-nama ke hun intizar mein behosh karta hai tera kahna ye naz se mujh ko na chhed nind ke hun main khumar mein khurshid ki tarah main sarapa hun ek dagh daghon ki aur ja nahin is jism-e-zar mein iza hai sailon se mudam ahl-e-faiz ko patthar lagate hain shajar-e-mewa-dar mein 'daula' ghazal ek aur suna is zamin mein baqi hai josh bhi to dil-e-be-qarar mein