jaan lab par aa gai furqat mein bas ghabra chuke

jaan lab par aa gai furqat mein bas ghabra chuke
ab wo aaen ya na aaen hum to ji se ja chuke

naz-o-andaz-o-ada ko kaam tum farma chuke
khol kar band ab lipat jao bahut sharma chuke

us ke aane ki na thahri sau tarah gham kha chuke
jaan hai jae kahin qissa mite jhagda chuke

intizar un ka abas ai dil hai bas wo aa chuke
khat jo bheje the jawab-e-saf qasid la chuke

khinch kar aahen munaghghas us ko kar deta hai tu
yar ko sad bar ai dil hum mana kar la chuke

phad kar kapde chale sahra ko hum wahshat-zada
nikhat-e-gul ki tarah hum phir ke ghar ko aa chuke

jab na ek bosa hi do tum aur na ek dushnam do
dil tumhein kyunkar mile aur is ki qimat kya chuke

mujh ko tana aur mah-ruyon se milne ka diya
main bhi ab kuchh arz kar lun aap to farma chuke

tha hijab-e-ishq mane warna shab ko wasl mein
hath un panw talak sau bar hum pahuncha chuke

dam ulatta hai mera rukh se ulat dije naqab
be-hijabi se tasalli kijiye sharma chuke

apne is diwana-pan se dil na baz aaya kabhi
qaid zindan mein rakha zanjir tak pahna chuke

jun qafas sad-chaak dil hai hasrat-e-parwaz se
murgh-e-gul ka shakh-e-gul se hum qafas latka chuke

wasl ki shab hai kaf-e-pa apne sahlane to do
hijr mein hum se kaf-e-afsos to malwa chuke

hae us gul ne na ki is dil ki chahat par nazar
zakhm khae tan pe lakhon saikdon gul kha chuke

na-tawani ka bahana gah kiya gah maut ka
un ke rah jaane ko hum to swang lakhon la chuke

us ne par rahne na hum ko wan diya kya kijiye
panw kis kis tarah us ke dar pe hum phaila chuke

said-e-mani koi 'daula' apne hath aata nahin
tausan-e-fikr apna is maidan mein hum dauda chuke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close