haal kya puchhte ho sokhta-samani ka dagh sarmaya hua zindagi-e-fani ka gharq-e-dariya-e-nidamat hua tumar-e-jurm ye to adna sa karishma hai pashemani ka baad-e-murdan jo anasir mere bikhre ya-rab uqda hal ho gaya hasti ki pareshani ka sang-e-dar baz ne sang-e-dar-e-maqsad samjha ye sila hum ko mila aap ki darbani ka dekh kar meri pareshani-e-tahrir kaha ye muraqqa hai yaqinan kisi diwani ka