ab to zinda hue hain hum mar ke

ab to zinda hue hain hum mar ke
aaiye dekh len nazar bhar ke

saghar-e-maut de mujhe bhar ke
un ke wade hain roz-e-mahshar ke

yaad aati hain yar ki aankhen
saqiya jam de mujhe bhar ke

zinda rahte hain ya ki marte hain
muntazir hain visal-e-dilbar ke

nama-bar ka pata nahin shayad
kat dale hon par kabutar ke

ek hi war mein tamam kiya
sadqe ho jaun tere khanjar ke

subh rukh par padi hai gesu-e-shab
ab hain mehman hum bhi shab bhar ke

bahr dil ho gaya hai tufan mein
ud gae hosh dida-e-tar ke

naqsh-e-pa ban ke ai 'qamar' rahna
pir-o-murshid ke aur payambar ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close