jab se un se apna yarana hua apna dil apnon se begana hua dil mein jab se wo hue masnad-nashin yak-ba-yak aabaad virana hua yar ke dar ki gadai kya mili ab mizaj apna ye shahana hua jo firaq-e-yar mein aansu baha gir ke daman mein wo durdana hua aap ka aashiq faqat main hi nahin ek zamana hai jo diwana hua mere ghar jab se ki tum aane lage ghairat-e-jannat ye kashana hua shama-e-ru-e-ahmad-e-mukhtar par ye dil-e-diwana parwana hua jam-e-mai lene na paya tha abhi dekh kar saqi ko mastana hua ai saba aati hai tujh se bu-e-dost yar ke gesu mein kya shana hua dam-ba-dam aane lage dil mein mere gham-kada un ka jilau-khana hua badh gaya hai is qadar josh-e-junun har jagah mera hi afsana hua dekh li duniya ki haalat ai 'qamar' aaj-kal apna yahi begana hua