ab wafa rang-e-tamasha koi chehra na raha apni aankhon ki chamak par bhi bharosa na raha hum to aae the mulaqat karenge tujh se ye khabar kab thi ki tu apne hi jaisa na raha log kahte hain ki har chiz samajhti hai hamein main bahut khush hun ki ab koi adhura na raha us ke milne ki khushi us ke bichhadne ka qalaq ek gardish thi ki wo aa gaya thahra na raha us ne kaghaz ko bhi phulon ki tarah chum liya pesh khushbu hi karen dusra tohfa na raha