ab wo jo nahin un ki tamanna bhi bahut hai jine ke liye shorish-e-duniya bhi bahut hai ab sard-hawa shoala-e-jaan soz-e-junun bhi ab garmi-e-husn-e-rukh-e-zeba bhi bahut hai khush-kaamati-e-sarw ka charcha hai ghanimat ab tazkira-e-nargis-o-lala bhi bahut hai tum kaun se the aise saza-war-e-inayat wo puchh rahe hain tumhein itna bhi bahut hai ya talkhi-e-mai hi thi jawab-e-gham-e-duniya ya zikr-e-mai-o-saghar-o-mina bhi bahut hai ya gardish-e-dauran ko bhi khatir mein na late ya ab kisi ummid pe jina bhi bahut hai