ye mumkin hai ki yun hum ne tumhein aksar rulaya ho magar ye bhi to hai tum ne hamein aksar sataya ho bigadti baat hai jab jab mujhe yun kosti ho tum ki jaise zindagi ka har sitam mujh se hi paya ho har ek goli tamanche se nikal kar sochti hogi agar leni hi hain jaanen to kyon apna paraya ho hamare qabr par aksar sulagti dhup rahti hai jo zinda the to chaha tha teri zulfon ka saya ho teri aankhon ki wusat mein bhari ho kahkashan shayad teri nazuk si palkon ne falak shayad uthaya ho hamari khak ud kar shakh se karti hai sargoshi utha lo phul ye shayad hawa ne hi giraya ho mulaqaten to hoti hain magar puri nahin hoti ki jaise nind mein gahri adhura khwab aaya ho hui hai aaj be-parda teri ye be-rukhi kuchh yun mere haalat ne rukh se tere parda hataya ho lipat kar aag se dekho 'alakh' ki lash jalti hai kisi hamdard ne aa kar jo sine se lagaya ho