ab wo mod aaya ki har pal mo'atabar hone ko hai dekhna manzar naya diwar dar hone ko hai ab lahu ka rang gahra hai meri taswir mein aisa lagta hai ki qissa mukhtasar hone ko hai ud chali hai har taraf daman mein bhar lene ki baat qatra qatra us ke dariya ka guhar hone ko hai main bhi dekhun mujh ko manzar se hata dene ke baad ab tamasha kaun sa bar-e-digar hone ko hai phir tarashi jaane wali hain charaghon ki lawen sham hote hote garm aisi khabar hone ko hai mud ke dekhun to aqab mein kuchh nazar aata nahin samne bhi gum nishan-e-rah-guzar hone ko hai ab nai rahen khulengi mujh par imkanat ki 'ramz' mere tan pe zahir mera sar hone ko hai