marne ke liye shauq se jina kya hai kya kahiye zamane se ki duniya kya hai ai kash koi raaz bata de mujh ko khaliq ne mere bare mein likkha kya hai wijdan bhi bebas hai talab ke hathon kya shai hai buri dahr mein achchha kya hai kis khwab ki rahon mein bhatakta hai dil gum-gashta nigahon mein sarapa kya hai jhonke ne badal dala hai khushbu ka chalan ek phul ne ek khar ko chuma kya hai qadmon se lipatti hai sarabon ki gard rasta kisi manzil ka taqaza kya hai diwar ko to puj raha hai suraj dar wa hai magar dar mein huwaida kya hai jazbaat ko bhata nahin koi mausam ehsas ke har mod mein sauda kya hai har qurb ki taqdir mein duri kaisi basti ke muqaddar mein ye sahra kya hai poshida bhala kya hai talab se 'aiman' ummid ki tahdari se ifsha kya hai