ab wo pahle se mehr-o-mah nahin koi aasuda-e-nigah nahin jo bhi nikla tumhaari mahfil se us ko duniya mein phir panah nahin ishq ka dard phir bura kiya hai maut lazim hai ishtibah nahin zindagi hi gunah jab thahri zindagi mein koi gunah nahin dushmanon se to hai hazar mumkin doston se kahin panah nahin tum agar markaz-e-tamanna ho phir tamanna koi gunah nahin ek jhalak un ki dekh li 'ehsas' ab koi markaz-e-nigah nahin