dastan bhi mukhtalif lahja bhi yaron se juda panchwan darwesh to hai pahle chaaron se juda zahr na-pukhta mizajon mein bhara karte hain ye aap rahiyega zara in hoshyaron se juda shor barpa ho gaya har gosha-e-gulzar mein jab ubhar aaya naya manzar bahaaron se juda chat jati hirs ki dimak faqiron ke bhi tan siraten un ki thin lekin shahryaron se juda bas gham-e-jaanan nahin lekin gham-e-duniya to hai aap kaise ho gae phir dil-figaron se juda 'nasir' o 'bani' sa tujh ko bhi saraha jaega jab tera rang-e-sukhan hoga hazaron se juda