is qadar bhi dukhi nahin the hum jaise ab hain kabhi nahin the hum dusra us ko mil gaya koi aakhiri aadmi nahin the hum har zarurat ki ek qimat thi aur itne dhani nahin the hum kaise chahat kisi ko de dete yar itne sakhi nahin the hum kaise daman bachate duniya se aadmi muttaqi nahin the hum jo tasawwur tha us ke khwabon mein hu-ba-hu kya wahi nahin the hum ab to 'mashkur' aisa lagta hai tere dil mein kabhi nahin the hum