main apne waqt mein apni rida mein rahta hun aur apne khwab ki aab-o-hawa mein rahta hun kabhi zamin kabhi sair-gah-e-mah-o-nujum kabhi main aks-e-nazar-ashna mein rahta hun samaaton par utarta hun misl-e-saut-e-yaqin dilon ke wahima-e-barmala mein rahta hun main udti gard hun ahl-e-hunar ke teshe ki aur ahl-e-dard ki bhi khak-e-pa mein rahta hun main ek faqir-e-khuda-mast barsar-e-duniya jamal-e-yar ki hairat-sara mein rahta hun