ab ye dhun chhoD bhi do usko kahan paoge

ab ye dhun chhod bhi do us ko kahan paoge
ghar chalo warna kahin aur nikal jaoge

ab isi zakhm se gul-posh badan hai sara
aao dekho to sahi phul se khil jaoge

hum bhi ab tak usi manzar ke fusun mein gum hain
tum bhi us khwab ki tabir na sun paoge

aab-e-aina ko yun dekhta rahta hun ki bas
surat-e-aks tumhin jaise ubhar aaoge

nakhun-e-aql se kab uqda-e-dil khulta hai
chhod do warna tumhin is mein ulajh jaoge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close