ab ye hoga shayad apni aag mein khud jal jaenge tum se dur bahut rah kar bhi kya paya kya paenge dukh bhi sachche sukh bhi sachche phir bhi teri chahat mein hum ne kitne dhoke khae kitne dhoke khaenge kal ke dukh bhi kaun se baqi aaj ke dukh bhi kai din ke jaise din pahle kate the ye din bhi kat jaenge aql pe hum ko naz bahut tha lekin ye kab socha tha ishq ke hathon ye bhi hoga log hamein samjhaenge aankhon se ojhal hona kya dil se ojhal hona hai tujh se chhut kar bhi ahl-e-gham kya tujh se chhut jaenge hum se aabla-pa jab tanha ghabraenge sahra mein raste sab tere hi ghar ki jaanib ko mud jaenge