kafir hun sar-phira hun mujhe mar dijiye main sochne laga hun mujhe mar dijiye hai ehtiram-e-hazrat-e-insan mera din be-din ho gaya hun mujhe mar dijiye main puchhne laga hun sabab apne qatl ka main had se badh gaya hun mujhe mar dijiye karta hun ahl-e-jubba-o-dastar se sawal gustakh ho gaya hun mujhe mar dijiye khushbu se mera rabt hai jugnu se mera kaam kitna bhatak gaya hun mujhe mar dijiye malum hai mujhe ki bada jurm hai ye kaam main khwab dekhta hun mujhe mar dijiye zahid ye zohd-o-taqwa-o-parhez ki rawish main khub jaanta hun mujhe mar dijiye be-din hun magar hain zamane mein jitne din main sab ko manta hun mujhe mar dijiye phir us ke baad shahr mein nachega hu ka shor main aakhiri sada hun mujhe mar dijiye main thik sochta hun koi had mere liye main saf dekhta hun mujhe mar dijiye ye zulm hai ki zulm ko kahta hun saf zulm kya zulm kar raha hun mujhe mar dijiye zinda raha to karta rahunga hamesha pyar main saf kah raha hun mujhe mar dijiye jo zakhm bantte hain unhen zist pe hai haq main phul bantta hun mujhe mar dijiye barud ka nahin mera maslak darud hai main khair mangta hun mujhe mar dijiye