ab zindagi ro ro ke guzarenge nahin hum ye bojh to hai bojh utarenge nahin hum tum khud hi agar laut ke aa jao to behtar hargiz tumhein is bar pukarenge nahin hum ek ishq ki bazi hi to hum haare hain us se ai rah-e-talab hausla haarenge nahin hum ye gesu-e-hasti ke sanwarne ki ghadi hai ab gesu-e-jaanan ko sanwarenge nahin hum dhundenge har ek chiz mein jine ki umangen dil ki kisi khwahish ko bhi marenge nahin hum