wo bahki nigahen kya kahiye wo mahki jawani kya kahiye wo kaif mein dube lamhon ki ab raat suhani kya kahiye uljhi hui zulfen khwab-asar badmast nigahen wajh-e-baqa duniya se magar imkan-e-shab-e-asrar-o-maani kya kahiye rudad-e-mohabbat sun sun kar khud husn ko bhi nind aane lagi ab aur kahan se laen dil ab aur kahani kya kahiye jina bhi bahut hi mushkil hai marna bhi koi aasan nahin allah re kashakash ulfat ki kya ji mein hai thani kya kahiye 'farhat' ka pata puchhe jo koi kafi hai faqat ye kafi hai phuti hui qismat tuta dil ab aur nishani kya kahiye