haal mein jine ki tadbir bhi ho sakti hai zindagi mazi ki taswir bhi ho sakti hai aas mein us ki na har kaam adhura chhodo us ke aane mein to takhir bhi ho sakti hai mera har khwab to bas khwab hi jaisa nikla kya kisi khwab ki tabir bhi ho sakti hai dil to mera tha magar ye mujhe malum na tha ye kisi aur ki jagir bhi ho sakti hai zindagi jalne lagi aatish-e-tanhai mein jurm-e-ulfat ki ye tazir bhi ho sakti hai dil ko barbaad nahin karna ki is mein phir se khwahishon ki nai tamir bhi ho sakti hai thak gaya hun main hikayat-e-junun likh likh kar ye meri aakhiri tahrir bhi ho sakti hai