ab zindagi se jaan chhudane laga hun main dasht-e-ajal se aankh milane lagane hun main jabr-o-jafa kuchh is tarah saunpe gae mujhe dekho ye shahr chhod ke jaane laga hun main main chahta hun aati rahen titliyan yahan kaghaz pe tere hont banane laga hun main jo chahte hain jaana ba-sad-shauq jaen wo sare ye ab charagh bujhane laga hun main tum dekhna ki aaenge sarkar-e-do-jahan farsh-e-aza ko aaj bichhane laga hun main jis ne khamosh rah ke jawani guzar di pinjre se wo parinda udane laga hun main