kabhi na khud ko bad-andesh-e-dasht-o-dar rakkha utar ke chah mein patal ka safar rakkha yahi bahut the mujhe nan o aab o shama o gul safar-nazhad tha asbab mukhtasar rakkha hawa-e-sham-e-dil-azar ko asir kiya aur us ko dasht mein pan-chakkiyon ke ghar rakkha wo ek reg-gazida si nahr chalne lagi jo main ne chum ke paikan kaman par rakkha wo aai aur wahin taqchon mein phul rakhe jo main ne nazr ke patthar pe jaanwar rakkha jabin ke zakhm pe misqal-e-khak rakkhi aur ek alwida ka shugun us ke hath par rakkha giraft tez rakkhi rakhsh-e-umr par main ne bajae jumbish-e-mahmez-e-nishtar rakkha