abad ke tasht mein kuchh phul aur sitare liye

abad ke tasht mein kuchh phul aur sitare liye
ye main hun dur se aaya hua tumhaare liye

ajab thi un se mulaqat par tapak meri
wo mere khas-kade mein aa gae sharare liye

dayar-e-girya ki galiyon mein aisi phislan hai
bashar guzarte hain diwaron ke sahaare liye

bichha ke in ko main chahe jidhar utar jaun
rawan hun naw mein dariya ke do kinare liye

bulandi se gire mazmun ki tarah hai hayat
ludhakti phirti hai laghzish ke istiare liye

hazar subh-e-safar nashte ki mez pe thi
main garm-e-sair hua nur ke harare liye

na jaane abr mera kis taraf rawana hai
siyah raat ke parde mein barq-pare liye

khuda se khauf-zada itna kar diya gaya tha
ki hum ne sans bhi duniya mein dar ke mare liye

yahi thi shab jo zamin se gai thi nam le kar
ab aasman se chali aa rahi hai tare liye

bahut si khud mein tamasil jama kar li hain
kuchh apne waste kuchh khas kar tumhaare liye

main dhund laya kahin se kinaya farda ka
kahin se guzre hue waqt ke ishaare liye

samaa ke liye sargoshiyan utha laya
nazar ke waste fitrat se kuchh nazare liye

sab ek sath kahin lapata hue 'shahid'
buland karni hai kis ne sada hamare liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close