balaen parda-e-simin pe jalwa-gar hongi

balaen parda-e-simin pe jalwa-gar hongi
nai kahani ki buniyaaden khauf par hongi

phalega aur abhi na-rasai ka gulshan
fughan ki tahniyan kuchh aur barwar hongi

chhidi to phir na rukegi hayatyati jang
hamari zindagiyan khauf mein basar hongi

jo aks-band karoge hamari wahshaton ko
to zombie film se badh kar wo mushtahar hongi

nizam-e-dahr mashinon ke hath mein hoga
jadid daur ki tahziben be-bashar hongi

kabhi na faisla ho paega kidhar jaen
nazar ke samne duniyaen is qadar hongi

hum un mein baith ke ghumenge kaenaton mein
nai sawariyan kirnon se tez-tar hongi

rahega ab na kahin waqt ka tasawwur bhi
tamam saaten be-sham-o-be-sahar hongi

jidhar ko bagh the bazar ban gae hain wahan
na jaane tum se mulaqaten ab kidhar hongi

wo tut jaenge jo hath tum jhatak doge
wo phut jaengi jo aankhen be-basar hongi

khuda ke nur se mahrum hain jo tahziben
wo kahkashan ki taraf aazim-e-safar hongi

aur ab to chand pe aabaad-kari hone lagi
chamakti wadiyan insan ka mustaqar hongi

ye sab husul-e-wasail ki daud hai pyare
nai ladaiyan mirrikh-o-mah par hongi

ye baat kyon nahin sochi clone-sazon ne
ki is se mushkilen insan ko kis qadar hongi

na ab udasiyan hongi bikher kar khud ko
na ab masarraten khud ko samet kar hongi

hamare tajarbe auron ko faeda denge
hamari koshishen nakaam bhi agar hongi

na socha tha ye kabhi khuld se nikalte hue
ki is se badh ke sazaen to khak par hongi

jo haul-nak hain parchhaiyan yahan 'shahid'
zarur aur kahin jazib-e-nazar hongi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close