abas hai duri ka us ke shikwa baghal mein apne wo dil-ruba hai chubhi hai qalib mein jis tarah jaan use tariqe se wo chhupa hai makan bhi hai wo makin bhi hai wo wahi mila hai wahi juda hai usi ka jalwa har ek su hai wahi hai zahir wahi chhupa hai gham-e-mohabbat hai us ka jis ko nahin wo gham ain hai wo rahat kharab jo ishq mein hai us ke nahin wo bigda bana hua hai na parsai namaz se hai na roza-dari hai zohd-o-taqwa mai-e-mohabbat piye jo us ki wahi haqiqat mein parsa hai wo ranj aakhir ko hoga rahat wo marg-e-umr-e-dawam hogi jo ishq-e-sadiq mein mar mita tu to phir abas shaki-e-jafa hai na koi dushman na dost apna na nek-o-bad se hamein talluq jo chashm-e-wahdat se hum ne dekha na kuchh bura hai na kuchh bhala hai jo dard-e-hijran se jaan-ba-lab hai ilaj mumkin hai us ka kyunkar masih samjhe hain jis ko wo khud maraz mein ulfat ki mubtala hai jahan mein sadha hazar-ha ghar base jo the wo ujad gae hain na hoga viran khana-e-dil jahan wo but aa ke bas gaya hai jo hai talabgar us ka sadiq hua hai donon-jahan se farigh na hur-o-ghilman ka hai wo khwahan na wo hasinon pe shefta hai zaban-e-insan mein kab hai qudrat kare jo izhaar-e-shan-e-wahdat na ibtida se hai koi waqif na us ki malum intiha hai utha le fazl-o-karam se yarab karim hai aur rahim tu hai jo 'barq' bar-e-azim-e-isyan se gir ke dar par tere pada hai