kah do koi saqi se ki hum marte hain pyase gar mai nahin de zahr hi ka jam bala se jo kuchh hai so hai us ke taghaful ki shikayat qasid se hai takrar na jhagda hai saba se dallala ne ummid dilai to hai lekin dete nahin kuchh dil ko tasalli ye dilase hai wasl to taqdir ke hath ai shah-e-khuban yan hain to faqat teri mohabbat ke hain pyase pyase tere sar-gashta hain jo rah-e-talab mein honton ko wo karte nahin tar aab-e-baqa se dar guzre dawa se to bharose pe dua ke dar guzren dua se bhi dua hai ye khuda se ek dard ho bas aath pahar dil mein ki jis ko takhfif dawa se ho na taskin dua se 'haali' dil-e-insan mein hai gum daulat-e-kaunain sharminda hon kyun ghair ke ehsan-o-ata se jab waqt pade dijiye dastak dar-e-dil par jhukiye fuqara se na jhamkiye umra se